Thursday, October 25, 2007

lines to remember...


" koi acha lage to use pyar mat karna

uske liye neenden bekar mat karna

do din to aayenge khushi se milne

tisre din kahenge mera intazaar mat karna "





" Kuch rishte anjane mein ho jate hai,

pehle dil phir zindagi se jud jate hain,

kehte hai uss daur ko ISHQ,

jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai. "












" Har koyi har kisi ka yaar nahi hota,

Har dost wafadaar nahin hota...

ye to dil milne ki baat hain,

warna saat feron main bhi pyaar nahi hota "




"Raat Ki Khaamoshi Raas Nahin Aati,

Meri Parchaayee Bhi Ab Mere Paas Nahin Aati,

Khuch Aati Hai To Bas Teri Yaad,

Jo Aa Kar Eik Pal Bhi Mujh Se Duur Nahin Jaati. "




"Yaadon ka ek jhoka aaya............

Hamse milne barson baad........

Pehle itna nahi roye...............

Jitna aaj roye barson baad........... "







"teri yaad ne tujhe kya pata
mujhe kaise kaise sata dia

kabhi khalwaton mein hasa dia
kabhi mehfilon mein rula dia

kabhi yun hua teri yaad mein
meri saari namaazein qaza huin

kabhi yun hua teri yaad ne
mujhe mere rab se mila dia... "




"bahut roz hue chand se na bat hui,
mere mehboob se meri na mulakat hui,

din bhar dekhte rahe gali ki more pe,
subha gujar gayi sham hui,

aaj to aye vo mujhse milne,
ankho se fir barsaat hui,

khil gaye phoolo ki tarh dil k har zakhm,
jo unki nighah ki khairaat hui "






"Bhula kar hame wo khush reh payenge

sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge

Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,

Hum to seh gaye par wo toot jayenge! "






"Yaad mai teri har roj marta hai koi,


har sans ke saath tuje yaad karta hai koi,


maut ek roj sabko aani hai,


teri judai me har roj marta hai koi.... "



"Pagal nazaren dil deewana lagta hai.........


Tera mera rista purana lagta hai............


Phoolon me lipte pathar aaye hai.............


Ye to koi dost purana lagta hai.... "

Wednesday, October 17, 2007

Afreen Afreen

Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nashi
Afreen afreen
Afreen afreen

Aisaa dekha nahi khubsoorat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi,
jism khusboo koi
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise hai khilta hua ek chaman
Jism jaise hai suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua, dilkash-o-dilnashi
Sandali sandali
Makhmali makhmali
Afreen afreen
Afreen afreen

Aankhen dekhi to main dekhta reh gaya
Jaam do aur dono hi do aatisha
Aankhen ya maikade ke do baab hain
Aankhen unko kahoon, ya kahoon khwaab hai
Aankhen neechi hui to hayaa ban gayi
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi
Aankhen uth kar jukhi to adaa ban gayi
Aankhen jhuk kar uthi to fazaa ban gayi
Aankhen jin mein hain qaid aasmaan-o-zamin
Nargisi nargisi
Surmayi surmayi
Afreen afreen
Afreen afreen


A wonderful song by Nusrat Fateh Ali Khanand it is describing the beauty of a lady.. wow!! i wish i could be like her..
Watch this video. .. http://www.youtube.com/watch?v=gi12fxjlq5E

Yeh Hosla Kaise Juke

Yeh Hosla Kaise Juke,
Yeh Aarzoo Kaise Ruke - 2
Manzil Muskil to kya,
Bundla Sahil to kya,
Tanha Ye Dil to Kya
Ho Hooo

Raah Pe Kante Bikhre agar,
Uspe to phir bhi chalna hi hai,
Shyam Chupale Suraj magar,
Raat ko ek din Dhalana hi hai,
Rut ye tal jayegi,
Himmat rang layegi,
Subha phir aayegi
Hoooo

Yeh Hosla Kaise Juke,
Yeh Aarzoo Kaise Ruke - 2

Hogi hame to rehmat ada,
Dhup kategi saaye tale,
Apni khuda se hai ye Dua,
Manzil lagale humko gale
Zurrat so baar rahe,
Uncha Ikraar rahe,
Zinda har pyar rahe
Hoooo

Yeh Hosla Kaise Juke,
Yeh Aarzoo Kaise Ruke - 2


this song is from a movie called "dor" and i liked dis song when i heard it from amanat ali...
the lyrics of this song is so powerful and positive..

Tuesday, October 16, 2007

Maine Puchha Chand Se Ke

Let us start...
This beautiful song is called "Maine poochha chand se " . It is from the movie Abdullah and It is sung by Mohammad Rafi.

Maine poocha chand se
ke dekha hai kahin
mera yaar sa haseen
Chand ne kaha
Chandni ki kasam, nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...

Maine yeh hi jaab tera dhoondha
har jageh shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochi
phoolon ne jawaab tera dhoondha
maine poocha baag se
falak ho ya zameen
aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam
nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...

Ho, Chaal hai ke mauj ki ravaani
Zulf hai ke raat ki kahani
Hont hain ke aaine kawal ke
aankh hai ke mahkadon ki rani
maine poocha jaam se
falak ho ya zameen
aisi meh bhi hai kahin
jaam ne kaha mehkashi ki kasam
nahi nahi nahi
Maine Poocha Chand se...

Khoobsurati jo tune paayi
lut gayi khuda ki bas khudaayi
meer ke gazal kahun tujhe main
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi
main jo poochun shayaron se
aisa dil nashi
koyi sher hai kahin
shayar kahen shayari ki kasam
nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...



and i fell in love with the song the first time i heard it in sa re ga ma pa and Raja Hasan sang in beautifully. So when i hear the song raja and his divine singing came to my mind

THINK BIG.. DREAM BIG..

Nowadays I'm so much crazy about music that I thought of starting a blog.
This blog is an exclusive collection of hand picked lyrics.
Lyrics lyrics n' lyrics - close to my heart.